Saturday, December 13, 2008

Tumko tumhi se chura lenge hum


Aaye hai ish jaha me to kuch kar ke jayenge apne naam ko hum sabke dil pe likh kar jayenge har hotho se chin lenge unki udashi aur ush hotho pe hasi dekar jayenge. kuch aisa kar ke jayenge ke ki mera naam bhi kisi ke juba pe ho khushi me naa to sahi dukh me hi ho logo ke aankho me apni tasvir chor jayenge haa kuch aisa hi kar jayenge.

jinhe hum chahte hai apni jaa se bhi badhkar wo naa samjhe mere pyaar ko aab aap hi batawo aye yaro kaise unhe kah du yeh jakar yeh dil aapke yado se ek ek sapne bun raha hai. khud to so raha hu par yeh dil unkhe yado ke sapne bun raha hai

Jindgi me kuch aise pal bhi aate hai jab sapne humari hatho se fisal jate hai. wo samajhte hai humare pyaar ko magar wo wahi dekhte pate hai jise duniya dikhana chahti hai aur wahi unko aata hai nazar.

humara kya hai hum to u hi aapke yado ke sahar jee lenge gar jinda rahna hai tere bagair to hum ishe khuda ka marji samjh kar yeh jahar bhi pee lenge. gar aaye yaki tumko mere pyaar pe to ek awaz de jana gar darte ho ish jaha se to apne labo ko khamos rakhna aur dil se mughe bulana. hum aayenge tere paas tumse milne chahe rahu mai kisi bhi jaha me , aye mere dost mere humsafar kabhi naa hona tum udash

Dil me kahi teri ek tasvir banayee hai. tumhe logo ke nazro se ishe chupayee hai. kahi nazar naa lage mere yaar ko ishliye yeh baat maine apne dil se bhi chupayee hai.

kuch nahi hai paas siwa tere pyaar ke. kuch suhane pal hai hai aur kuch yade hai mere yaar ke in yado me basi har ek pal phoolo sa mahakta hai. yeh dil bas aapse apke dil ki baat sun-ne ko tadapta hai.

gar aaye yaki aapko mere pyaar me to bas ek baar muskura dena. apni palke jhapka dena. aur mughe yaad karna aur yeh nagma tum ga dena.

tumko tumhi se chura lenge hum marke bhi ish dil se mera pyaar naa hoga kam. aye jaa teri kasam ki kasam, rahenge ek duje ke dil me aisa wade karte hai hum

No comments: