Saturday, December 13, 2008

Har Dil Me Ek Jagah Banane Aaya Hu


Har dil me ek jagah banane aaya hu

jab aaya mai ish jaha me to har kisi ne yahi pucha humse tum kaun ho aur kis jaha se aaye ho. kya naam hai tera aur kya karne aaye ho... maine kaha mai hu aap jaisa ek anjaan mushafir door taro ke beech se aaya hu. banani hai har dil me ek khash jagah yeh armaa sang mai laya hu. Chiriya boli aye mere anjaan dost tu bahot bhola hai. yeh hai humari dharti par yaha humari raaz nahi chalti yaha bahot se hai shikari jo karte hai hame shikar band kar ke hame pijro me azadi chin lete hai yaar maine kaha aye meri pyaari si saathi tu mat ho udash tumhe hai kis baat ka gam jab saath me hai tera yaar. ish chaman me fir se aapke geen gungunayenge. aapki chah chahato se hum apne dil ko hasi banayenge logo ke dil me yeh arma hum jagayenge, inhe bhi jeene do aakhir yeh bhi kudrat ki lataye hai. phir aayee phulo ki bari kaha ushne bahot has ke o mere anjaan dost tu kaun hai aur kis jaha se aaya hai aur apne saath kaha se itni khushiya laya hai. maine kaha chaman me koi tumsa duja nahi, u hi nahi ki jati tumse ishwar ki puja, q ki tum bahot swaksh aur sundar saloni ho khud kato pe soti phir sabko apni khusbu hai deti hamne tumse yeh hai sikha chahe ho kitna bhi gam hotho pe udashi naa lawo tum. har pal me jeevan hai ish gam se kabhi naa haro tum. Mai hu ek anjaan mushafir door taro ke beech se aaya hu. mai hu tanha ish jaha me bas dost aur dost banane aaya hu.

2 comments:

Sabaleplus said...

esta bueno el blog
http://www.sabaleplus.blogspot.com/
estuvo Maradona hace poco eh ?

पंकज "प्रेम" said...

what u said, m not getting ur comment. please wrote in english