Saturday, June 20, 2009

Ham to jaise hai waise rahenge



Ham toh bhai jaise hain, waise rahenge Ab koyi khush ho, ya ho khafa, ham nahin badlenge, apni adaa Samjhe na samjhe koyi ham yahi kahenge Ham toh bhai jaise hain, waise rahenge

ham dil ki shehzaadi hai, marzi ki mallika
ham dil ki shehzaadi hai, marzi ki mallika
Sar pe aanchal kyun rakhe, dhhalka toh dhhalka
Ab koyi khush ho ya koyi roothhe, is baat par chaahe har baat toote
Ham toh bhai jaise hain, waise rahenge

Hamein shauq mehendi ka na shehnaai ka hai Ho.. hamein shauq mehendi ka na shehnaai ka hai Hamaare liye toh apna ghar hi bhala hai Sunta agar ho toh sun le kaazi, lagta nahin kabhi ham honge raazi

Ham toh bhai jaise hain, waise rahenge
Ab koyi khush ho, ya ho khafa, ham nahin badlenge apni adaa
Samjhe na samjhe koyi ham yahi kahenge
Ham toh bhai jaise hain, waise rahenge